Paid Surveys In Pakistan And India: Most Pakistani and Indian people want to know that, is there any website which really pays and works in Pakistan and India? Pakistani and Indian people want to take part in survey even if they get only $0.25 per survey, but they don’t want to pay any sign up fee. In this page we will discuss in Roman Urdu about what is paid survey and is it work in Pakistan and India and for Pakistani and Indian people.

FAQ Paid Surveys In Pakistan And India

1. Kya Pakistan aur India mai paid surveys ke zaria dollar kamana mushkil hai?

Ji nahi; survey ke zaria dollar kamana koi mushkil kam nahi. Survey mai aap ko sirf few aasan sawalo’n ke jawabat deney hotay hai. In’n aasan salo’n ke jawabat de ker a sirf aap ghar baithay aik maqool raqam dollar ki soorat mai kama saktay hai, jabkeh doosri taraf woh company jis ka survey form aap fill karain ge woh aap ke jawabat ki roshni mai apne business ka ainda laia’h-amal tai karain ge.

2. Ham kisi sahi survey site ka kis tarah intekhab kaise karai’n ge?

pehle aap ko koi aik survey site join kerna ho ga, waha se aap ko survey karaney wale sites ke baaray mai maloom hoga. mukhtalif website mukhtalif andaz se payment kerti hai. kuch tu cash payment kerti hai jab keh kuch point aur prize award kertay hai. lehaza survey job start kerne se qabal achchi tarah faisla ker le keh aap kis tarah muawza lena chahtay hai. cash ki soorat mai ya point aur prizez ki soorat mai?

ham aap ko mashwara dain ge keh aap point aur prizez wali site ka intekhan na karain balkeh os site ka intekhab karain jo keh cash payment kerti ho. tamam survey site ka tareeqa kar same hi hota hai chahe woh cash payment karay ya poin aur prize ki soorat mai. aap onhai apni basic information dain ge aur woh aap ko survey form bhaijna shuru ker dain ge.

3. Paid survey ka tareeqaKar kya hai?

iss ka tareeqa yeh hai keh aap pehle kisi bhi survey site join karain ge. os site per on tamam companies ki list mil jaaye gi jo logo ko survey form bhaijti hai. aap on mai se apni pasand ke multiple companies mai apne aap ko registered karain ge, aur ziadah se ziadah apne baaray mai maloomat faraham karain ge. aap apne baaray mai jetni ziadah maloomat faraham karain ge, company ke liye aap ke liye form ka intekhab kerna otna hi aasan hoga. kio keh har survey form har person ko nahi bhaija jaata hai.

4. kya tamam survey companies cash payment kerti hai?

ji nahi, tamam survey company cash payment nahi kerti. kuch cash payment kerti hai jabkeh kuch prizez aur gift ki soorat mai payment kerti hai. hamara aap ko mashwarah hai keh aap sirf os company ka intekhab karain jo keh cash payment kerti ho.

5. Paid surveys ke zaria ham ketna kama saktay hai’n?

generally aik survey form fill kerne se average $4 se $50 tak earning hoti hai. kuch company kam se kam deti hai aur kuch ziadah se ziadah. aap ki aamdani iss baat per bhi depend kerti hai keh aap ki survey company kis country mai survey kara rahi hai. payment ka tluq timing se bhi hoti hai, jo forum fill hone mai ziadah time leta hai os mai aamdani ziadah hoti hai aur jo kam time leta hai os mai aamdani kam hoti hai. waqt guzarne ke saath saath aap ke form fill kerne ki speed ziadah hoti jaaye gi aur aap aik ghanta mai kaii form fill ker lain ge. iss tarah aap aik ghanta mai jetna ziadah form fill karain ge aap ki aamdani otna hi ziadah hogi.

6. kya ham kisi bhi waqt survey form fill ker saktay hai?

ji haa, aap kisi bhi waqt survey form fill ker saktay hai. lekin aap ko yeh maloom hona chahiye keh jab koi company survey kara rahi hoti hai tu woh limited time mai limited logo ko survey form bhaijti hai. jetne survey ki ose zaroorat hoti hai os ke kuch ziadah logo ko survey form bhaijti hai. lehaza jab log survey form fill ker ke bhaijna shuru kertay hai tu yeh mumkin hai keh aap ke form se qabal hi ose matlooba survey form mil chuka ho. lehaza behtar yahi hai keh jab bhi form milay ose jald se jald fill ker ke bhaij dain. jetni jaldi aap survey form fill ker ke bhaije ge otni hi jaldi aap ke account mai dollar jama ho jaaye ga.

7. kya paid survey ke baaray mai mazeed kuch jaan’na zaroori hai?

aap ko mashwara hai keh aap paid survey ke liye new email account banaye. kio keh jab aap paid survey ke liye registered honge tu aap ko beshumar survey related email aane shuru ho jaain ge. iss tarah aap ke personal email aur survey walay mail mix ho jaaye ge jis ko sort kerna mushkil hoga. aur yeh bhi khatra rehta hai keh bahot ziadah mail ke andar koi higly paid survey form nazro se miss na ho jaaye.

8. ham yeh kaam kaise start karain?

Internet per Mukhtalif websites hain jahan free signup kark ye kaam start kia jasakta hay. kisi bhi specific website ka intekhab aap ka apna intekhab ho ga.

9. Survey kerne per hamai koi payment kio kerta hai?

har company yeh jaan’na chahti hai keh os ki product mai kya khoobi aur kya khaami hai. lehaza woh apne consumer se survey ke zaria opinion leti hai. os opinion ki roshni mai ose maloom hota hai keh log os ki product kio khareed’tay hai, aur jo log nahi khareed’tay hai os ki bhi kya wajah hai. lehaza survey ke nateeja mai woh apna ainda ki strategies tayyar kertay hai. woh apni product ki khamio ko khatam aur khoobio mai izafa kertay hai, aur marketing mai on khoobio ko ziadah se ziadah ujagar kertay hai jo consumer ne survey form ke zaria bataya hota hai. iss tarah on ke business mai taraqqi hoti hai aur on ki aamdani mai izafa hota hai.

10. hamai kaisey maloom ho ga keh comanies hamai waqai payment karay gi?

aam logo ke liye yeh jaan’na mushkil hai keh survey karane wali company payment karay gi bhi keh nahi. lekin jo company survey karane wali company ki list faraham kerti hai woh achchi tarah jaanti hai keh kon si company sahi hai aur kon si fraud. lehaza jo achchi survey website hoti hai woh sirf aur sirf osi survey karane wali companies ki list faraham kerti hai jo keh sahi ho aur woh apne client ki payment wada ke mutabiq waqt per aur poora kerti ho. lehaza hamara mashwara hai keh jo bhi survey website join karain, shuru mai hi apna itmenan ker lain keh woh sahii survey company ki list farham kerti hai ya har kisi ki jis mai fraud company bhi shamil ho sakti hai.

11. kya survey ke liye sirf ghar ka computer istemal kerna hoga, laptop ya koi aur computer istemal kersaktay hai keh nahi?

ji nahi, sirf ghar ka hi computer use kerna lazmi nahi hai. aap kisi bhi computer se survey form fill ker saktay hai. na sirf apna laptop istemal ker saktay hai balkeh cyber cafe se bhi baith ker survey form fill ker saktay hai.

12. kisi survey company se apna email share kerne par hamai spam mail se tu wasta nahi parey ga?

ji nahi, tamam achchi survey company ki privacy policy ke mutabiq woh na sirf aap ki personal information balkeh aap ka email address bhi kisi aur company se share nahi karay gi. albatta kisi fraud survey company ki koi guarantee nahi dii jaa saktii.

13. Paid survey form fill kerne aur os ke zaria kamane ki kya koi limit hoti hai?

ji nahi iss ki koi limit nahi hoti. aap jetni chahe survey form fill ker saktay hai. aap jetni tezi se survey form fill karay ge aur jetna ziadah time iss kaam mai lagaye ge otna hi ziadah kamain ge. full time kaam ki soorat mai yaqeenan aap monthly bari raqam kamane mai kamiab ho jaaye ge.

14. Hamai kis tarah payment milay gii aur ketne dino ke baad milay gii?

survey company apne client ko Cheque ya Paypal ke zaria adaigi kerti hai. kuch company mahina mai two times payment kerti hai jabkeh kuch company monthly payment kerti hai.

15. kya ham dunia mai kahi se bhi survey form fill ker saktay hai, ya koi pabandi hai?

kuch company sirf aise logo se survey karati hai jo keh sirf USA mai rehtay hai, jabkeh kuch company poori dunya mai rehne wale logo se survey karati hai. asal pabandi age ki hoti hai. beshtar company mai age limit kam az kam 18 years hoti hai.

16. kya iss tarah survey karana sahi hota hai.

ji haa kisi company ka apne consumer se survey karana aur os ke liye payment karan sahi hai. albatta kisi illegal activities ke liye agar koi survey ho raha ho tu yaqeenan woh survey bhi illegal hi kehlaye ga.