Make money online with ebay in Pakistan and India: Most Pakistani and Indian people want to earn money at home via internet. Earn money using ebay is one of several method of earning via internet. ebay inc is an American Internet company doing online auction and shopping by website ebay.com. In this page we will describe in detail in Urdu and Hindi about ebay inc and the method by which Pakistani and Indian people can earn money using ebay.com

eBay In India And Pakistan

eBay Inc aik American Internet company hai. jo dunya ki mash’hoor website ebay.com chalati hai. iss website ke zaria dunia bhar ke log aur businesman beshumar aqsamm ki cheezain khareed aur farokht kerti hai. eBay Inc ki bunyaad 1995 mai pari. aur dekhte hi dekhte yeh aik multi-billionaire company ban gayee. yeh na sirf USA balkeh 30 mukhtalif countries ke liye bhi service provide kerti hai. yeh company mukhtalif website ke zaria online auction, shopping, classified advertisement, event ticket trading aur online money transfer ka kaam kerti hai.

Iss page per ham na sirf eBay kii tareekh aur tareeqa kaar bayan karain ge balkeh iss baat per bhi discuss karain ge keh India aur Pakistan mai eBay ke zaria kaise shopping ki jaa sakti hai. ham iss baat per bhi discuss karain ge keh Indian aur Pakistani people kis tarah eBay ko urse kertay hoye ghar baithay dollar kama saktay hai. hamara yeh mazmoon Roman Urdu mai hoga.

Origin And History Of eBay

3rd September 1995 ko San Jose, California mai AuctionWeb ke naam se online auction website ki bunyaad, aik 32 years old French-born Iranian-American computer programmer Pierre Omidyar ne dali.

Early 1996 mai Chris Agarpao ko eBay ke pehle mulazim aur Jeffrey Skoll ko pehle president ki haisiat se shamil kya gaya. November 1996 mai os ne Electronic Travel Auction company se pehli third-party licensing deal ki, awr SmartMarket Technology ko istemal kertay hoye os ne plane ticket aur doosri travel product sell kerni shuru ki. 1996 mai comany ne 250,000 auction kiye jabkeh 1997 mai sirf 1st month yani January mai os ne 2,000,000 auctions kiye. September 1997 mai company ka purana name AuctionWeb ko eBay mai tabdeel ker dia gaya.

March 1998 mai Meg Whitman ko eBay ka President aur CEO banaya gaya. os waqt company mai 30 mulazmeen, half a million user, aur USA mai $4.7 million ka revenues tha. 21st September 1998 ko eBay public mai gayee aur dekhtay hi dekhtay Omidyar aur Skoll billionaires ban gaye. eBay ne apne share ki qeemat $18 rakha tha jo pehle hi din $53.50 tak pohnch gayee.

waqt guzarne ke saath saath company mazeed grow kerti gayee aur woh na sirf collectable item balke har woh item farokht kerne lagi jo saleable tha. February 2002 mai company ne IBazar aur October 2002 mai PayPal ko khareed lya.
early 2008 tak company worldwide ho gayee, os ke registered user ki taadad hundred of millions tak pohonch gayee, 15000 se zayed mulazmeen aur $7.7 billion revenues ho gaya.

March 2008 mai John Donahoe ko eBay ka President aur CEO banaya gaya, jabkeh Whiteman ko Board of Directors mai rehne dya gaya aur woh 2008 tak Donahoe ko mufeed mashwara detay rahe. late 2009 ko company ne Skype ko $2.75 billion mai farokht ker dya jab keh company ki 30% equity apne paas hi rehne di.

How To Earn Money On eBay At Home

Kuch log eBay ke zaria sale sirf aur sirf iss liye kertay hai keh on ka garage saaf ho jaaye, jabkeh kuch extra money ke liye kertay hai. Lekin kuch log isay second money ya home business ke liye kertay hain. eBay business mai product ka intekhab ki bari ahmiat hai, lekin munafa mai haqeeqi izafa ke liye zaroori hai keh aap ko maloom hona chahiye keh bid ka number aur amount kis tarah increase kya jaaye. Ek ebay seller ko chahiye keh who har product ke profit margin mai izafa karay. Iss article mai ham aap ko batain ge keh kis tarah product profit margin mai izafa kya jaa sakta hai.

1. Kisi bhi product ke saath saath like product ko bhi sell kerne ki koshish karain. Buyer koi bhi product khareedne ke baad aik nazar doosri product per bhi dalta hai aur janne ki koshish kerta hai keh aap aur kon kon si product sale ker rahe hai. Aik hi jagah se multiple product khareedne se combind shipping hogi aur iss tarah postage ikhrajaat mai kami hogi. Isi tarah aik hi box mai multiple item pack kerne se seller ki bhi packing cost kam ho jaaye gi.

2. old offline auction technique yeh hai keh less desirable item ko more desirable item ke saath bundle ker dia jaaye. Online auction mai bhi aap yahi karain. Iss tarah aap ki aik saath two itme sale ho jaaye gi. Two item bundle kerne se bid ki raqam bhi ziadah hogi. Buyer ko bhi aik hi shipment mai two itme mil jaaye ga. Generally byer alag se kisi low cost item ki akeli shipment se avoid kertay hai. Lekin agar ose kisi high cost item ke saath bundle ker ke aik hi shipment mai send ki jaaye tu khooshi khooshi tayyar ho jaatay hai.

3. iss baat per khasoosi tawajo dain keh kis season mai kia farokht karma hai. Jis cheez ke farokht ka season nahi hai ose be-moqa farokht kerne ki koshish na karain.

4. kisi bhi item ki profit margin ko samajhne ki koshish karain. Agar aap kisi item per $20 ka profit kama saktay hai tu $5 profit waly item ko sale kerne ki koshish na karain. Pehle aap faisla karain keh aap monthly ketna kamana chahtay hai, osi hisab se product ka intekhab karain. Agar aap monthly $1000 kamana chahtay hai tu iss ka matlab hua keh aap $250 a week. Lehaza aap $25 profit wale 10 items sell ker ke $250 kama lain ge. Iss se ziadah behtar ho ga keh aap $200 profit margin wala item sirf 5 sell ker ke monthly $1000 kama lain ge, ya $100 profit wala 10 item sell ker ke matlooba monthly income hasil ker lain ge. Yeh baat zehan mai rahe keh 20 items ki packing mai time aur cost 10 items ki packing ke time aur cost se ziadah lagta hai. Business mai time ko bhi cost samajhna chahiye.

5. koshish karain keh kisi bhi item ke sell ho jaane ke baa dos itme se milti julti item bhi sell ho jaaye. Lehaza jab buyer kisi item ko khareedne ke baad payment process se guzar raha ho tu os ko osi waqt milti jultu doosri product ki bhi offer karain.

6. generally aik customer dobara osi jagah se buy kerne ki koshish kerta hai jaha se os ne pehle khareeda tha. Lehaza aap ko chahiye keh apne tamam customer ki email list banaye aur ose regular bunyad per apne items ki list bhaijtay rahe. Ose regular update kertay rahe keh aap kab kya sell kar rahe hai. Har qisim ke announcement especially upcoming sales ke baaray mai ose zaroor inform karain.

7. apne customer ki demographics ka khayal rakhain aur osi ke mutabiq product ki description likhain. Iss tarah aap higher bid earn ker sakain ge.

8. har auction ke saath auction ki terms and condition zaroor shamil karain. Shipping options kya honge? Koi question tu nahi kerni hai? Kya aap sirf makhsoos days mai hi ship kertay hai? Aap payment kis tarah letay hain? Ziadah behtar yahi hai keh aap kisi word processor mai apne standard terms and condition likh lain aur phir waha se copy ker keh har item ke saath paste ker dain, iss tarah aap ka kafi time bhi save ho jaaye ga.

9. Profit ke liye zaroori hai keh kisi bhi item ka cost low ho aur bid ziadah. Ham ne profit ko increase kerne ke kuch technique bataye hai. Ab aap baith ker mentally auction selling ke tamam process per ghor karain aur kuch apne new ideas paida karain. EBay ghar baithay business ki zabardast opportunity hai, lekin haqeeqi aamdani ka taluq seller ki apni aqalmandi per hai keh who kon sa product intekhab kerta hai aur kon sa technique istemal kerta hai.