chand madham hai
aasmaan chup hai
neend ki goud mien
jahan chup hai
door wadi mein dhond ke badal
jhuk kar parbet ko piyar kartay hain
dil mein nakaam hasratien lay kar
hum tera intezaar kartay hain
in baharon ke saaye mein aja
mohbaat phir jawan rahe na rahe
zindagi tere namuradon per
kal tak mehrbaan rahe na rahe
kal ki tarah aaj bhi taaray
subha ki gard mein na kho jayien
aa , tere ghum mein jaagti ankhien
kam se kam aik raat to soo jayien