Barson kai bad daikha .. ik shakhs dil Ruba sa…
Ab Zehen Main Nahi Hay, Pur naam tha bhala sa…..

Abro khichay khichay say, Ankhain jhuki jhuki si..
Batain ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa…

Khuwabon main khwab usska, Yadon main yaad usski…
Nendon main ghul gaya ho, Jaysay ke Rut-jaga sa…

Pehlay bhe log aye, kitnay hi zindagi main…
Lekin wo har tarah say, aoron say tha juda sa..

Aglee Mohabaton nay, wo NaMuradyan dee theen..
Taza Rifakaton say, Kuch Dil tha dara dara sa…

Kuch Ye ke muddaton sai, Ham Bhi nahi they roayee..
Kuch zeher main bujha tha ehbaab ka dilasa…

Ab Sach kahain to yaro, Humko khabar nahi thee…
Ban jayi ga Kayamat, ik Wakiya Zara Sa…

Taiwar Bay-Rukhi kay Andaaz Dosti key…
Wo ajnabi tha laikin, lagta tha aashna sa..

Hum Dusht they ke dariya, ham zeher they ke amrit…
Nahak tha zauam hum ko, jub Wo nuhe tha Piyasa….