“Suno”

Bohat hii maan hai tum par
suno paas-e-wafa rakhna,

sabi se tum milo lekin
zara sa faasla rakhna,

wo saray wisl k lamhein
tum ankhon mein saja kar rakhna,

abi imkaan baqi hai
abi lab par dua rakhna,

buhat nayab hun dekho
mujhe sabse juda rakhna………….