Meri zindaqi to firaaq hai
Woh azal se dil mein makeeN sahi
Woh nigahe shauq se door hai
Rag-e-jaan se laakh qareeb sahi

Hamein jaan deni hai aik din
Woh kisi tarah woh kahiN sahi
Hamein aap kheeNchye daar per
Jo nahin koii to hamiN sahi

Sar-e-toor ho sar-e-hash’r ho
Hamein intezaar qubool hai
Woh kabhi mileN woh kahiN mileN
Woh kabhi sahi woh kahiN sahi

Na ho un pe kuch mera bas nahiN
Ke yeh aashiqi hai hawas nahi
Mein unhi ka tha mein unhi ka hoon
Woh mere nahin to nahin sahi

Mujhe bethne ki jagah mile
Meri arzoo ka bharam rahe
Teri anjuman mein agar nahin
Teri anjuman ke qareeN sahi

Tera dar to ham ko na mil saka
Teri rah guzar ki zamin sahi
Hamein sajda karne se kaam hai
Jo wahan nahin to yahi sahin

Meri zindagi ka naseeb hai
Nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe us ka ghum to naseeb hai
Woh agar nahiN to nahiN sahi

Jo ho faisla sunaye
Use hash’r per na uthaye
Jo kareiNge aap sitam wahaN
Woh abhi sahi woh yahiN sahi

Unhein dekhni ki jo LAU lagi
To naseer dekh hi leiNge ham
Woh hazaar aaNkh se door hoon
Woh hazaar pardah nasheeN sahi