Na koi wada hay tum say
Koi rishta nibhanay ka
Na koi aur hi dil main
Tahiyya ya irada hay
kai din say magar dil main
Ajab uljhan si rehti hay!
Na tum iss dastan k sarsari kirdar ho koi
Na qissa itna sada hai
Ta.aluq jo main samjha tha
Kaheen uss sai ziyada hay