Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein
Kabhi waqt mile toh aa jana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi tha aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai
In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila
Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera warsa aaj bhi hai