Na milta gham tu barbadi k afsanay kahan jatay

Agar dunya chaman hoti tu veeranay kahan jatay

Chalo acha howa apno mein koi ghair tu nikla

Sabhi hotay agar apne tu beeganay kahan jatay

Tumhi ne gham ki dolat di bara ehsaan farmaya

Warna hum zamane bhar k aagay hath pheelane kahan jatay…