Badlon ka kafila ata hua acha lga
Pyas ki dharti ko har sawan bara acha lga
Us bhari mahfil mai us ka chand lamhon ke liye
Mujh se milna bat karna daikhna acha lga
Jin ka sach hona kisi soorat se bhi mumkin na tha
Aisi aisi batain aksar sochna acha lga
Wo to kya ata magar khush fahmiyon ke sath sath
Sari sari rat hum ko jagna acha lga
Pahle pahle to nigahon main koi jachta na tha
Rafta rafta doosra phir teesra acha lga