yeh jaan kar bhi ke dono ke raastey the alag.
ajeeb haal tha jab uss sey ho rahey the alag.

yeh harf-o-lafz hay duniya se guftugo ke lie.
kissi sey ham-sukhani ke mukalmey the alag.

khaial unn ka bhi aaya kabhi tumhein janaan.
jo tum se door bohut dooor jee rahe the alag.

hami nahi hain , hamari tarah ke aour bi loug.
azaab main the jo aouro se sochtey the alag.

akeley pann ki azziy-yat kaa abb gillaa kesaa.
Faraaz khod hi tu apnoo sey hogaye the alag.