Iss daur main may aur hai, jaam aur hai, jum aur

Saaqi ne bina ki rawish-e-lutf-o-sitam aur

Muslim nai bhi ta’ameer kia, apna harum aur

Tahzeeb ke azar ne trishwai sanam aur

In taza khudaon main baRa sab se watan hai

Jo pairhan iss ka hai, woh mazhab ka kafan hai

Yeh but keh tarasheeda-e-tahzeeb-i-navi hai

Gharat gar-e-khashan-e-deen-i-nabawi hai

Baazu tira tawheed ki quwwat se qawi hai

Islam tira dais he, tu Mustafawi hai!

Nazzara-e-deerana zamanay ko dikha dai

Ai Mustafawi, khaak main iss but to mila dai

Ho qaid-maqaami to nateeja hai tabahi

Rah bahar main azad-e-watan, soorat-e-maahi

Hai tark-e-watan sunnat-e-Mahboob-e-Ilaahi

Dai tu bhi nabuwwat ki sadaqat peh gawahi

Guftaar-e-siyasat main watan aur hi kuch hai

Irshaad-e-nabuwwat main watan aur hi kuch hai

Aqwaam-e-jahan main hai raqabat, to issi sai

Taskheer hai maqsood-e-tijarat, to issi sai

Khaali hai sadaqat sai siyasat, to issi sai

Kamzor ka ghar hota hai gharat, to issi sai

Aqwam main makhlooq-e-khuda bat-ti hai iss sai

Qaumeat islam ki jaR kat-ti hai iss sai