O dais say anay walay bata
woh shehar hamara kaisa hay?

har dushmanain jaan kis haal main hay?
har jaan say piyara kaisa hay?

Ay dais se aanay wale butta,

wo shehr ju hum se chooTha hei
wo shehr hummara kaisa hei

Sub dost hummein pyare hein mugar,
wo jaan se pyara kaisa hei

Shub bazm-e hareefaan sujti hei, ya shaam dullay so jatay heiN
Yaroon ki busar auqaat hei kiya her anjamun-ara kaisa hei

Jub bi mei-khaanay khultay thay, wa darr-e zindaaN rehta tha
Ub mufti-e deeN kiya kehta hei mausam ka ishaara kaisa hei

Wo paas nahi ehsaas tu hei, ek yaad tu hei ek aas tu hei
Darya-e juddai mein dekho tinkay ka sahaara kaisa hei

MulkooN mulkooN ghoomay hein buht, jagay hein buht roye hein buht
Ub tum ko kiya buttayein yaroo duniya ka nazaara kaisa hei

Ay dais se aanay wale butta…..

Ay dais se aanay walay mugar,tum nay tu itna bi na poocha
Wo kavi jissay bunbaas milla, wo dard ka maara kaisa hei…….

Yea Shaam-e Situm KaT-ti Hi NahiN Yea Zulmat-e Shabb GhaT-ti Hi NahiN
Mere Badqismut LogooN Ki Qismut Ka Sitara Kaisa Hei…..

Meh-Khaanay Ka Pindaar Gya Paymaanay Ka Maiyaar KahaN
Kal Talkhi-e Meh Bi Khalti Thi Ab Zehr Gawara Kesa Hei

Ay Des Se Anay Wale Bataaaaa….

ay dais say anay walay bata
kuch bata apnay logon ki

kuch yaadain beeti ghariyoon ki
apnon say bichar kar hum aey

kuch sapnay sohanay nazroon main
unko saja kar hum laey

ummeed kay roshan wo charagh
jo jaltay rahain sham o sahar

kuch eendhan ka intezam karain
phir roshan sham o subhain karain

ae dais say anay walay bata