Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa tou manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apne iss mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham miley nahi kisii se dil milaa nahin

hai shor saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamin pe aadamii nahi falak pe kyaa Khudaa nahin