Ye shab-e-firaq, ye bebasi,

Qadam qadam pay udasiyaan,

Mera sath koi na de saka,

Meri hasratain hain dhowan dhowan,

Mein tarap tarap k jiya tou kya,

Meray khwaab mujh say becharr gaye,

Mein udaas ghar ki sada sahi,

Mujhay day na koi tassaliyaan,

Ye fiza jo gard-e-ghubar hai,

Meri bekasi ka mzaar hai,

Mein wo phool hun jo na khil… saka,

Meri zindagi mein wafa kahan,

Chali aisi dard ki aandhiyaan,

Meray dil ki basti ujarr gaii,

Ye shab-e-firaq ye bebasi,

ye qadam qadam pay udasiyaan…..

VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 0.0/5 (0 votes cast)