Apne bistar mein buhat der se mein neem-daraz
Sochti thi ke woh iss waqt kaha par hoga

Mein yahan hoon magar uss kocha-e-rango-bo mein
Roz ki tarah woh aaj bhi aaya hoga

Aur jab ussne waha mujh ko na paya hoga
App ko ilm hai woh aaj nahi aayi hain

Meri har dost se ussne yehi pocha hoga
Kyon nahi aayi woh-kya baat hui hai akhir

Khud se iss baat pe so bar woh uljha hoga
Kal woh aaye gi toh main uss se nahi bolonga

App hi app kai bar woh rotha hoga
Woh nahi hai toh bulandi ka safar kitna kathin

Serrian charhate hue uss ne yeh socha hoga
Rahdari mein, hare lawn mein, pholon ke kareeb

Uss ne har simt mujhe an ke dhonda hoga
Naam bhole se jo mera kahin aaya hoga

Ger-mahsoos tareeqe se woh chonka hoga
Eik hi gumle ko kai bar sunaya hoga

Baat karte hue so bar woh bhola hoga
Yeh jo larki nai ayii hai kahin woh toh nahi

Us ne ar chahra yehi soch k dekha hoga
Jan-e-mehfil hai ,magar aj,faqad mere bagair

Haye!Kis darja wohi bazm mein tanha hoga
Kabhi sanataon se wehshat jo hwi ho gi use

Us ne be-saktha phir mujh ko pukara hoga
Chalte -chalte koi manoos se ahat pa kar

Doston ko bhi kisi uzr se ruka hoga
Yaad kar ke mujhe naam ho gayi hogi palken

Aankh mein kuch par gaya keh ke yeh tala hoga
Aur ghabra ke kitabon mein jo li ho gi panah

Har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga
Jab mili ko use meru alalat ki khabar

Us ne ahista se dewaar ko thama hoga
Soch kar yeh ke behal jaye pareshan-e-dil

Yuhin bewaja kisi shaks ko roka hoga
Itafaqan mujhe uss shaam meri dost mili