Tujhse pyaar hai mujhe yeh janti hoon main,
Mohabbat ek mukadas lafz hai yeh janti hoon main,
Tera naam main kaise loon sharam mujhe aati hai,
Bus dil hai main naam le kar hasti jati hoon main,
Tera mujhe dekh kar muskarana aaj tak yaad hai,
Woh lamha yaad kar ke sochti jati hoon main,
Teri batein teri hasi tera yuh dekhna,
Bas yuhi soch kar kahi kho jati hoon main,
Tera naam le kar tujhe dekh kar khush hona,
Ishe pyaar kehtey hain yeh janti hoon main,
Tera mera milan kabhi na hoga shayad,
Yeh soch kar gamgen hoo jati hoon main,
Mere pass toh teri tasveer bhi koi nahi hai,
Bus tera tasawar saath rakh kar so jati hoon main,
Kash hum dono apni mohabbat ka izhaar kar lain,
Yeh kabhi nahi hoon sakta yeh janti hoon main!