Kisi ki aas ban kar phir…
usy tanha nahi karty.

Bhala kitni bhi mushkil ho,
magar ayesa nahi karty.

Muhabbat mein shikayat ka
kahan dastoor hota hai,
Gila kar k, muhabbat ko
kabhi ruswa nahi karty.

Wafayen dar haqiqat main
Bari anmol hoti hain,
kabhi apni wafaoun ka
Sila manga nahi karty….