Ajza:
Qeema 1/2 kg
Aalu 1/2 kg
Laal mirch hasb-e-pasand
Timatar 2 adad (darmiyane size k)
Hari mirch 2 adad
Haldi , khushk dhaniya hasb-e-zaroorat
Piyaz 1 adad (bareek kati hoi)
Cooking oil 3 tbsp

Tarkeeb:
Aik bartan main oil garam kar k is main piyaz fry kar lain , ab is main timatar , hari mirchain (bareek kaat kar) namak, mirch, haldi, aur dhaniya daal kar chamach chalain , ab is main qeema daal kar bhoonain . waqfe waqfe se pani ka cheenta dete rahain . jab qeema gal jaye to achi tarah paani khushk kar k 5 mint k liye dam par rakhain . Aalu jo darmiyanay size k hoon . in k chilkay utaar kar is k opper se dhakkan k manind aik hissa kaat lain . dhakkan aik taraf rakh kar aaluon k andar se gooda nikaal kar inhain aik botal si bana lain . Isi tarah saarey Aalu khaali kar lain . ab deep fry karain aur golden brown hone per nikaal lain . Aalu ka jo hissa khaali kerne per bacha hai isey bhi bareek kaat kar tal lain . Tayyar shuda qeema talay huay Aaluon main bhar lain is per khoob achi tarah dhakkan jama kar dhagey se mazbooti se baandh dain . Ab jo qeema bach gaya hai isi main baqiya taley huey Aalu k tukrey aur 1.1/2 glass pani daal kar ubaal lain . Jab pani ubalne lagey to qeema bharay Aalu daal kar pakain . Shorba apni merzi se gaarha ya patla kar lain . 10 mint dam par rakhne k baad hara dhaniya chirak dain . qeema bharay Aalu tayyar hain .