Ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahin
varna main kuch bhi huun ehsan-faramosh nahin

main teri mast nigahi ka bharam rakh lunga
hosh aya bhi to kah dunga mujhe hosh nahin

Hungama hai kyu barpa thodi si jo pi li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai

us may se nahin matalab dil jisase ho begaana
makasuud hai us may se dil hi mein jo khinchati hai

suuraj mein lage dhabba fitarat ke karishme hain
but hamako kahein kafir allah ki marzi hai

naatajurbaakaari se vayiz ki ye baatein hain
is rang ko kya jaane puuchho jo kabhi pi hai

waan dil mein ki sadamein do, yaan ji mein ki sab sah lo
unaka bhi ajab dil hai, mera bhi ajab ji hai

har zarra chamakata hai anawaar-e-ilaahi se
har saans ye kahati hai ham hain to kuda bhi hai

e shauq wahi may pi ai hosh zara so ja
mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai