reet par likh ke mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo

log har bat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo

ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zakham amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsas main patthar bahut hain Hassan
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo