Dekhte dekhte utar bhi gaye
un ke teer apna kaam kar bhi gaye

husn per bhi kuch aa gaye ilzaam
go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye

yun bhi kuch ishq nek naam na tha
loag badnaam usko kar bhi gaye

kuch pareeshaan se the bhi ahl-e-junoon
gesoo-e-yaar kuch bikhar bhi gaye

aaj unhein meherbaan sa paakar
khush hue aur jee mein dar bhi gaye

ishq mein roth kar do aalam se
laakh aalam mile jidhar bhi gaye

huun abhi gosh pur sadaa aur wo
zer-e-lab keh ke kuch mukar bhi gaye