Dard phail jaye to
aik waqt aata hai
dil dharakta rehta hai!!!
aarzoo guzidon k hoslae nahi chalte
dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
rehrawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon, qafiley nahi chalte!
Aik zara tawajah say dekheye to khulta hai
loog un pey chaltey hain,rastey nahi chaltey
sochne samajhne se, sath sath chalne se
duriyan simatti hain, fasiley nahi chalte
khwab khwab aankhon main ratjage nahi chalte
darguzar k halqey main masley nahin chaltey
do dilon ki qurbat mei teesra nahi hota
waastey nahin chalte
bakht saath chalta hai taalae aazmaaon k
waqt raam karney main, tajziyon k daao kya
tajrubae nahin chalte
ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai
zabitae nahi chalte
husn ki adaalat main, aajizi to chalti hai
martabey nahi chalte
dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
silsilae taaluq k khud se ban to jaate hain
lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai
chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko seenchna bhi parta hai
ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai!!!!!

Amjad Islam Amjad.