Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey rotay Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehtey Hain Kuch Maseeha Bhi
Jo Kartey Bass Maseehai
Chhup Chhup Kar Wo Rehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Sanam Aise
Jo Apni Hi Is Pooja Se
Kuch Kuch Dartey Rehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Farishtey Bhi
Jab Ghalti Ka Imkaan Nahi
To Na Janey Kion Darte Hain?
Insaano Ki Si Basti Main
Kuch Log Baney Hain Shedai
Jo Hulye Se Hain Dewaney
Par Baat Feham Ki Kartey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Log Ajab Se Rehtey Hain
Kartey Hain Kaam Darindoon K
Aur Khud Ko Insaan Kehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Usse Ki Marzi K Tabay Hain
Jo Jeetey Hain Jo Martey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Jab Ataa Karey To Aise Karey
Sab Malik Bhi Phir Mangtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey rotay Hain