kisi ko hum se hain chand shikve, kisi ko behad shikaitain hain
Humarey Hisay main sirf apni safaiyaan hain, wazahatain hain

qadum qadum par badal rahe hain masafiroon ki talb ke raste
hawawon jaisi mohabatain hain, sadawon jaisi rafaqatain hain

kisi ka maqrooz main nahi par, mere girebaan pe haath sab ke
koyi meri chahaton ka dushman, kisi ko darkar chahatain hain

teri judaayi ke kitne sooraj, ufaq pey doobey, magar abhi tak
khalish hai seene me pehle din si, laho me wesi hi washatain hain

meri mohabat ke raazdan ne yeh keh ke lawta diya mera khat
ke bhigee bhigee si ansoon main tamam gunjlak ihbartain hain

main dosron ki khushi ki khatar ghubar ban ke bikhar gaya hon
magar kisi ne ye haq na mana ke meri bhi kuch zaroratain hain