Rukhsat huwa to aankh mila kar nahi gaya,
Woh kyun gya hy ye bhi bata kr nahi gaya,

Wo yun gaya k Baad-e-Saba yaad aa gayi,
Ehsaas Tak bhi ham ko Dilaa kar nahi gaya,

Youn lag rahaa hay jesy abhi laot aa’ay ga,
Jaatey huway charaagh bujha kr nahi gaya,

bas aik lakeer khainch gayaa dermiyan mein,
Deewaar Raastey mein Banaa kar nahi gaya,

shayad wo mil hi jaye magar justuju hy shart,
wo apney naqsh-e-paa to mitta kr nahi gaya,

ghar mein hay aaj tak wohi khushbu basi hui,
lagtaa hay youn ke jesy wo aa kar nahi gaya,

tab takk to phool jessi hi taaza thi us ki yaad
jab tak wo pattiyoon ko judda kar nahi gaya,

rehney diyaa na uss ne kisi kaam ka mujhey,
aur khak mein bhi mujh ko mila kar nahi gaya,

SHEHZAD yeh gilaa hi rahaa uss ki zaatt sey,
ke jaatey huway woh koi gilla kar nahi gaya,