wafa mein ab yeh hunar ikhtayaar karna hai
woh sach kahay na kahay aitbaar karna hai

yeh tujh ko jagtay rehnay ka shouq kab se huwa?
mujhay tow khair tera intezaar karna hai

hawa ki zad mein jalanay hein ansouon k chiraagh
kabhie yeh jashan sir e raahguzaar karna hai

woh muskura k naye waswason mein daal geya
khiyaal tha k us…say sharmsaar karna hai

chalo yeh ashk hi mooti samajh k baich ayen
kisi tarah tow humein roozgaar karna hai

KHUDA khabar yeh koi zid k shouq hai mohsin
khud apni jaan k dushman se piyaar karna

(mohsin naqvi)