Yeh ajab marhalay hain yeh ajab silsilay hain
Kay jahan say hum chalay thay ussi mour per kharay hain

Wohi rustaa hamara hay wohi dagar hamari
Jo na jayeee manziloun tak yeh wohi tu raastay hain

Rahay saath saath har pal na gumaan hua yeh mil kar
Jisay doosti thay kehtay woh kuch aur silsilay hain

Yeh sairaab tu nahi hay koi khuwab tu nahi hay
Zura app hi butain yeh jo hum may faslay hain

Nahi mumkin uss ko pana tu phir uss say kiun milay hum
Karain justujoo bhi kiun hum iss sooch may paray hain

Teray naam zindagani hai ye hi meri kuhani
Meri zindagi mai roshan teri yaad kay diye hain