Agr ye jan’na chaho…

Koi kaisay bikharta hai?

Bikhar kr kaisay girta hai?

Chaman mai tum chalay jana

Khizan k sard mausam mai

Wahan patton ko daikho tum…

Ya phr aik aaina ly lo

Usay pathar py dy maro

Agr muskil ho ye b to

Aik phool ly lna…

Hawa k dosh py rkhna…

To phr tum jan jao gai…

Koi kaisay bikharta hai..!!

Agr ye b na ho tum se

To mere pas a jana

Mera deedar kr laina

Khaber ye ho hi jai gi

Koi kaisay bikharta hai.