Dard itna hai k seh main sakta nahin
Dil to kehta hai k kehdoon magar keh sakta nahin

Us ko chahata hoon jane kub se?
Janna chahata hoon magar jan sakta nahin

Is qadar manga hai usko duaon main magar
Jo meri kismat main nahin woh mujhe mil sakta nahin

Us ka milna arman tha dil ka dil main ye arman reh gaya
Kash woh mujh se ye kehta jo main keh sakta nahin

Sou jatan karta hoon usko bhool jane k liye
Khud ko bhool jaoonga lekin usko bhula sakta nahi