ab is qadar bhi na chaaho ke dam nikal jaaye
Jun.23, 2015 in
POETRY, Urdu Misc Poetry
Aziz itnaa hi rakho ke ji sanbhal aaye
ab is qadar bhi na chaaho ke dam nikal jaaye
miley hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ke ruh garmi-e-anfaas se pighal jaaye
muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadkaa saa
ke jaane kaun kahaan raastaa badal jaaye
rahe vo dil jo tamannaa-e-taazaa tar mein
rahe khushaa vo umr jo khvaabon hi mein bahal jaaye
main vo charaag-e-sar- e-rahguzaar- e-duniyaa hun
jo apni zaat ki tanhaaiyon mein jal jaaye
har ek lehjaa yahi aarzu yahi hasrat
jo aag dil mein hai vo sher mein bhi dhal jaaye
Advertisement