Bay nigah aaNkhoun say
dekhtay haiN parchay ko

bay khiyaal haathouN say
un-bannay say lafzouN par
ungliyaaN ghummaatay haiN
yaa sawaal naamay ko
dekhtay hee jaatay haiN!

hur taraf kan-ankhiyouN say
bucch buccha kay taktay haiN
doosrouN kay purchouN ko
rehnumma samajhtay haiN

shaayad iss tarah koie,
raasta hee mil jaaey!
bay nishaaN jawaabouN kaa
kuch pata hee chull jaey!

mujh ko dekhtay haiN tau
youn jawaab copy par,
haashiyeh lagatay haiN
daaeray banaatay haiN
jaisay unn ko purchay kay
subb jawaab aatay haiN

iss tarah kay manzar maiN
Imtehaan gaahouN maiN,
dekhtaa hee rehtaa hooN
naqal karnay waalouN kay
nit naaey tareeqouN say
Aap lutf laita thaa,
dostouN say kehtaa thaa
kiss tarah say jaanay yeh
Aaj dil kay aangan maiN
ik khiyaal aayaa hay
sekRouN sawaalouN saa
ik sawaal laayaa hay

Waqt kee adaalat maiN
zindagi kee soorat maiN
yeh jo teray haathouN maiN,
aik sawaalnaama hay
kiss nay yeh banaayaa hay?
Kiss liyeh banaayaa hay?
kuch samajh maiN aayaa hay?

zindagi kay purcchay kay
subb sawaal laazim haiN,
subb sawaal mushkil haiN!
bay nigh aankhouN say
dekhtaa hooN purcchay ko
bay khiyaal haathouN say

un-bannay say lafzouN par
uNgliyaaN ghumaataa hooN
Haashiyeh lagaataa hooN
daairay banaataa hooN,

yaa sawaal naamay ko
dekhtaa he jaataa hooN

(Amjad Islam Amjad)