Gir ke phir sambhalne mein der kitni lagti hai…
Jun.23, 2015 in
Urdu Misc Poetry
Woh hamrai chahat tha,
Yeh bhi ek haqiqat hai,
Waqt ko badalne mein der kitni lagti hai,
Zindagi ki rahoon mein hadse toh hote hai,
Gir ke phir sambhalne mein der kitni lagti hai…
“Aao Kisi Shab Mujhe Toot K Bikhrta Dekho”,
“Meri Ragon Mein Zehar Judai Ka Uterta Dekho.
Kis Kis Ada Se Tujhe Maanga Hai RAB Se,
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mein Sisakta DekHo.
Teri Talaash Mein Hum Ne Khud Ko Kho Dia Hai,
Mat Aao Saamne Mgar Kahin Chup K Mujhe Tarapta Dekho.
Barey Shoq Se Mer Jaein Gey Hum Agar,
Tum Saamne Baith Kr Saans Ka Tasalsul Toot’ta Dekho.!.
Advertisement