Aye naye saal bata, tujh main naya pan kiya hai?
Har taraf khalq nay Q shorr macha rakha hai

Roshni din ki wohi taaron bharee raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wohi

Aasmaan badla hai afsos na badli hay zameen
Ek hindsay ka badalna koi jiddat tou nahi

Aglay barson ki tarha hongay qarenay teray
Kisay maaloom nahi 12 mahinay teray

January, febuary aur march main paray sardi
Aur april, may, june main hogi garmee

Tera munn dahar main kuch khoye ga kuch paye ga
Apni miyaad basar karkay chala jaye ga

Tu naya hai tou dikha subha nayee shaam nayee
Warna in aankhon nay dekhay hain naye saal kayee

Bay sabab detay hain Q loge mubarakbaadain
Gaalibann bhool gaye waqt ki karwii yaadain

Teri aamud sey ghatti umar, jahan sey sab ki
AY Naye saal bata tj ma naya pan kya ha..