Wohi Haseen Shaam Hai
Bohat Dino Ki Baat Thi
shabab Per Bahar Thi
Fiza Bhi Kushgawar Thi
Na Jaane Kioun Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisi Ne Mujh Ko Rok Ker
Badi Aada Sse Tok Ker
Kaha Ke Laut Ayyee
Meri Qasam Na Jayyee
Meri Qasam Na Jayyee
Magar Mujhe Khabar Na Thi
Mahaul Per Nazar Na Thi
Na Janey Kioun Machal Pada
Main Apney Ghar Se Chal Pada
Phir Shehar Se Main Aa Agaya
Khayal Tha Ke Paa Gaya
Usey Jo Mujh Se Durr Thi
Magar Meri Zaroor Thi
Phir Ik Haseen Shaam Ko
Main Chal Pada Salam Ko
Gali Ka Rang Dekh Ker
Naye Tarang Dekh Ker
Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch kisi khushi main tha
kisi Ne Jhank Ker Kaha
Paraye Ghar Se Jayyee
Meri Qasam Na Ayyee
Wohi Haseen Shaam Hai
Bahar Jis Ka Naam Hai
Chala Hoon Ghar Ko Chodh Ker
Na Janey Jaoon Ga Kidhar
Koi Nahin Jo Rok Ker
Koi Nahin Jo Tok Ker
Kahay Ke Laut Ayyee
Meri Qasam Na Jayyee
Meri Qasam Na Jayyee