Kal hamesha ki tarha
* Kal hamesha ki tarha
uss ney!!
kaha ye fone par
”Mein buhut masroof
hoon,,
mujh ko buhut sey kaam
hain
Iss liye tum aao milney
mein
to aa sakti nahi”Har riwayat tor kar iss baar!!
mein ney keh diya
”Tum jo ho masroof mein
bhi
bohat masroof hoon
Tum jo ho mash’hoor to
mein bhi boht maroof
hoon!!
Tum agar ghamgeen ho
mein bhi buhut ranjoor
hon!!
Tum thakan sey choor
to
mein bhi thakan sey choor
hoon
Jan-e-man hai waqt mera
bhi
buhut hi qeemti,,
Kuch puraney dostoon
ney
milney ana hai abhi
Mein bhi ab farigh nahi
mujh
ko bhi lakhon kaam hain
Warna kehney ko tou sab
lamhey tumharey naam
hain!!
Meri aankhein bhi buhut
bojhal hain sona hai
mujhey,,
Rat’jagon key baad ab
neendon mein khona hai
mujhey,,
Mein lahoo apni anaoo ka
baha sakta nahi
Tum nahi aati tou milney
mein bhi aa sakta nahi”…
Uss ko ye keh kar ‘Wasi’
mein
ney reciever rakh diya!!
Aur phir apni ana key paaon
pey sar rakh diya ..!