(Faiz had written this upon the death of his brother.)
mujh ko shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay
le gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab
is mein tau meri bohut kimati tusweerien thein
is mein buchpun tha mera, aur mera aihd-e shabab
is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
aa ke le ja’o tum apna yeh damukta hua phool
mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
(Faiz had written this upon the death of his brother.)