Hawa thami thi zaroor lekin,
Wo sham jaise sisak rahi thi,
K zard patton ne aandhion se,
Ajeeb Qissa suna dia tha,
K jisko sun kar tamam patte,
Sisak rahe thay Biluk rahe thay,
Jane kis sanihey k ghum mein,
Shajar jarron se ukharr rahe thay,
Bohat talasha tha ham ne tumko,
Har aik rasta,
Har aik wadi,
Har aik parbt,
Har aik ghati,

Magar kahein se khabr na aai,
Ye keh k hum ne dilko tala,
Hawa thame gi to daikh lain gay,
Hum us k raston ko dhond lain gay,
Magar hamari ye khush khayali,
Jo hum ko barbad kar gai thi,
Hwa thami thi zaroor lekin,
Bari hi mudat guzar chuki thi,
Hamare balon k junglon mein,
Sufaid chandi utar chuki thi,
Falak pe taare nahi rahe thay,
Gulab saare nahi rahe thay,
Wo jin se basti thi dilki basti
Wo log saare nahi rhe thay,
Magar
Ye almiya sab se bala-tar tha,
K hum tumhare nahi rahe thay,
K tum hamare nahi rahe thay,
Hawa thami thi zaroor lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi!!