Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs–

jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey —
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs–

haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko–
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs–

rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main–
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs–

har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon–
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs–

ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain–
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs–

jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya–
us main bhi hamesha nazzar aata hey wohi shakhs–

us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi–
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs–

jis shakhs kay honay se thi es shehar ki rozaq–
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs–