dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
vohi andaaz hai zaalim kaa zamaane wala

ab ise log samajhate hain giraftaar mera
saKht nadim hai mujhe daam mein laane wala

kiya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shaKhs hai munh pher ke jaane wala

tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanhaa hun to koi nahi aane wala

muntazir kis kaa hun tooti hui dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahan kaun hai aanevaalaa

main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi Khvaab ki tabeer batane waalaa

tum taqaluf ko bhi iKhalas samajhate ho ‘Faraz’
dost hota nahi har hath milane wala