Urdu hai meraa naam maiN Khusrau* kii pahelii
Urdu hai meraa naam maiN Khusrau* kii pahelii
maiN Miir kii ham-raaz huuN Ghalib kii sahelii**
Dakkan ke Vali ne mujhe godii meN khilaayaa
Sauda ke qasiidoN ne meraa Husn baRhaayaa
hai Miir kii ‘azmat kih mujhe chalnaa sikhaayaa
maiN DaaGh ke aaNgan meN khilii ban ke chamelii
Urdu hai meraa naam maiN Khusrau kii pahelii
Ghalib ne bulandii kaa safar mujh ko sikhaayaa
Hali ne muravvat kaa sabaq yaad dilaayaa
Iqbal ne aa’iinah-i-Haq mujh ko dikhaayaa
Momin ne sajaa’ii mere KHvaaboN kii Havelii
Urdu hai meraa naam maiN Khusrau kii pahelii
hai Zauq kii ‘azmat kih diye mujh ko sahaare
Chakbast kii ulfat ne mere Khvaab saNvaare
Faani ne sajaa’e merii palkoN pih sitaare
Akbar ne rachaa’ii merii be-rang hathelii
Urdu hai meraa naam maiN Khusrau kii pahelii
kyuN mujh ko banaate ho ta’assub kaa nishaanah
maiN ne to kabhii Khud ko musalmaaN nahiiN maanaa
dekhaa thaa kabhii maiN ne bhii KhushiyoN kaa zamaanah
apne hii vatan meN maiN huuN magar aaj akelii
Urdu hai meraa naam maiN Khusrau kii pahelii