Jis Main Simtay Saara Jahan
Chota Sa Woh Eik Lafz Hai MAA

Is Rishtay Say Sab Hain Waqif
Per Koi Na Samjhay Kia Hai MAA

Jis Nay Tum Ko Paida Kia
Us Hasti Ka Naam Hai MAA

Seenay Say Laga K Paala Kisnay
Jis Nay Paala Woh Hai MAA

Pyaar-O-Mohabbat Karay Har Dam
Chahat Ka Eik Khazana Hai MAA

Jaan Bhi Nichawar Karday Jo
Qurb…aniyon Ka Woh Samandar Hai MAA

Qadmon Talay Hai Janat Us K
Itni Azeem Hoti Hai MAA

Us Ki Azmat Un Say Poocho
Jin K Paas Nahin Hai MAA

Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
Hai Us K Peechay Tumhari MAA

Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
Eik Aisa Lazawaal Rishta Hai MAA

Sada Rahay Salaamat Saya Us Ka Jasim
Eik Meethi Thandhi Chaon Hai MAA”