Elahi teri makhloq ka ajab ik tamasha dekha
Elahi teri makhloq ka
ajab ik tamasha dekha,
Chhalaktey jaam dekhey’
samandroon ko pyasa dekha.
Ye kya majra hai apni
to samaj mai nhi aya,
Admi apni hi justju mai
ulajhta dekha.
Jin k haath thay khali
wo masrof-e-zikr dekhay,
Haathon mai liye tasbi-e-anmol
waaiz ko bhatkta dekha.
Alhamd-u-Lillah ka
matlab to samajh mai aya,
Siraat-…e-mostaqim k
matlab pay Logon ko jagharta dekha.
Eiman bechtay huay ADAM
k betay dekhay,
HAVAA ki beti ko
sar-e-bazar bikta dekha.
Kese dunya k
makr-o-fraib se samjhota kr loon,
K in aankhon ne kitne
jalte diyoon ko bhujta dekha.