kabhi AE haqeeqat e muntazir nazar AA libas e mijaz main
keh hazaron sajday tarap rahay hain meri jabeen e niyaz main
tarb Aashanye kharosh ho, to nawa hay mahram e gosh ho
wo suror kya keh chupa howa ho sukoot parda e saaz main
tu ba-cha ba-cha kay na rakh issay, tera aina hay wo aina
keh shakista ho to aziz ter hay nigah e aina saaz main
dam e tauf e karmak shama nay yeh kaha keh wo asarkahan
nah teree hikayat e soaz main, nah meri hadees e gudaz main
nah kahin jahan main aman mili, jo aman mili to kahan mili
meray jurm e khana e kharab ko teray afowo banda nawaz main
nah wo ishq main rahin garmiya
n, na wo husun main rahin shokhyannah wo ghaznawee main tarap rahi, nah wo kham hay zulf e ayaz main
jo main sir ba sajda howa kabhi, to zami.n say aanay lagi sada
tera dil to hay sanam aashna, tujhay kay milayga ga namz main