Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya kabhi moonh chupa k roye,
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,
koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k royon wo mujhe suna k roye.
meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.
teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.
Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye,
Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roy,
Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja k roye . . !