Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dur Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Ae Charah Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
Mein Ek Mataa-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
Madoom Ho Chuka Ye Ehsaas-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah Gar Mujhey
Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marnay Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey.