Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye
Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye
Teri rah main kertay thay sar talab sar-e-rahguzar chalay gaye
Teri kaj adayi say haar kay shab-e-intizar chali gayi
Meray zabt haal say rooth kar meray ghamgusaar chalay gaye
Na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikaitain na shikaitein
Teray ahd main dil-e-zar kay sabhi akhtiyar chalay gaye
Yeh hamein thay jin kay lubas par sar-e-rah siahi likhi gayi
Yehi daagh thay jo saja kay ham sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye
Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya
Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye