Usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi aye ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi aye ga koi jaye ga, koi jaye ga koi aye ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gai woh guzar gia,

Mujhey pat jharron ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Naye mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia