Wafa ke qaid khanoo mein sazain kab badalti hain
Badalta dil ka mosam hai hawain kab badalti hain,

Libadah orrh ke gham ka nikal jate hain sehra ko
Jawab aye ke na aye sadaain kab badalti hain,

Meri sari duain tum se hi mansoob hain jaanaa
Muhabbat ho agar sachi duain kab badalti hain,

Koi pa kar nibhata hai, koi kho kar nibhata hai
Naye andaz hote hain wafaeen kab badalti hain,

Gunahoon ko humara aik hi MAALIK bakhshta hai
Ataa US ki purani hai khataeen kab badalti hain.