Na Walwalay Wo Rahay
Na Walwalay Wo Rahay
Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin
Sadaa Suhaana Raha
Ghazal Haraam Howi, Husn
Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi
Shayaraana Raha
Khuda Bhi Maan Liya,
Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna
Gaayebaana Raha
Likha Howa Tha Mera Maazi
Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Haayil Wo
Aashyaana Raha
Paron Ke Dhair Lagay Hain
Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi
Ka Aashyaana Raha
Kaheen Kaheen Koi Raahat,
Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar
Wohi Puraana Raha
Qateel Tark-e-Maraasim
Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath
Dostaana Raha